27 September 2011

Dard-E-Dil

Is kadar hum yaar ko manane nikle,
uski chahat ke hum deewane nikle,
jab bhi use dil ka haal batana chaha,
to uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle...


Aansuo ke girne ki aahat nahi hoti,
Dil ke tootne ki awaaz nahi hoti,
Agar hota khuda ko ehsaas dard ka,
to use dard dene ki Aadat nahi hoti..


Woh nadiyan nahi aansu they mere,
jinpar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhein yeh chahat thi meri,
isliye hum aansu bahate rahe.


Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge hum,
Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin,
Tera naam dil se na mita payenge hum..



Teri doori ka ehsaas jab satane laga.
Tere sath guzra har lamha yaad aane laga.
Jab bhi bhulane ki koshish ki.
Tu dil ke aur karib aane laga.

Kisiko apana banane me.......

Kisiko apna banane me der lagti hai,
ek vada nibhane me der lagti hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,
magar unhe bhulane me umar lagti hai..

Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!

Gam-e-ulfat main hum had se gujar gaye,
ki unke isqe main hum deewane ban gaye,
humne to sunai thi apni daastain-e-dil unko,
vo zalim samjhe gazal aur wah wah kar gaye

Unki julfo ke tale hum zamana bhula dete hain,
vo ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,
ishq to unko bhi hai humse ye jaanta hain hum,
phir bhi na kah kar kyoin vo iss dil ko saza dete hain

Muskan tere Hoton Se Kabhi Jaaye Na,
Aansun tere Palkon Pe Kabhi Aaye na,
Poora Ho tera Har Khwab,
Aur Jo Poora na Ho Woh Khwab Kabhi Aaye Na…

Na misaal milegi tere husn ki iss kaynaat main,
tu itni kasis bhari khoobsurti kahain se layi hai,
labo hain maykhane aur ankhain chalakte pamane,
aye khuda jaane aaj kis kis ki shamat aye hai.

Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale
Teri Rahon main phool bhichane ke liye..

Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte..

Yakin har rishte ki buniyaad hota hain ,
tut jaaye agar to judna mushkil hota hain ,
kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe,
lekin dard is cheez ka be-panah hota hain.

Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo,
Mehfil me hamara mazak na udaya karo,
Ispar aansu tadap kar bola,
Bhari mehfil mein aapka dil akela na rahe,
Itna bus usse samjhaya karo..




Lakh Zabt.....

Lakh Zabt Khwahish Ke,
Beshumar Dawe Ho,
Usko Bhool Jane Ke,
Be Panah Irade Ho,
Aur Us Mohabbat Ko Tarq Kar Ke Jeene Ka,
Faisla Sunane Ko,
Kitne Lafz Soche Ho,
Dilko Uski Aahat Par,
Barmala Dhadkane Se Kaun Rok Sakta Hai...

Woh Nazar...

Woh Nazar kahan se laun jo tumhe bhulade,
Woh dawa kahan se laun jo is Dard ko mitade,
Milna to likha hota hai Taqdiron me Par,
Woh Taqdir hi kahan se laun joh Hum Dono ko milade…
`
Manzil Bhi Kho Chuke Humsafar Bhi Nahin Raha
Meri Kisi Bhi Duaa Main Sayad Asaar Hi Nahin Raha
Jab Se Huyee Hai Dil Ko Khabar wo bichaddh raha hai mujhse
Lafzoon Ko Jodnay Ka Tabse Hunaar Bhi Nahi Raha…
`
Paane se khone ka maza aur hai…
Bandh aankhon main rone ka maza aur hai…
Aansoo bane lafz aur lafz bane shayari…
aur uss shayari main tere hone ka maza aur hai…
`
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna,
Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna,
Kaante to phir bhi daman tham lete hain ,
Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..
`
Unhone dekha aur aansu gir pade,
Bhari Barsaat mein jaise phool bikhar pade,
Dukh yeh nahi ki unhone hume alvida kaha,
dukh to yeh hain ki uske baad woh khud ro pade..


Ye hawa.......



Ye hawa apki hansi ki khabar deti hai,
Mere Dil ko khusi se bhar deti hai,
khuda salamat rakhe apki hansi ko,
kyu ki apki Khusi hume zindgi deti hai…
Raat hai andheri or sunsan si
charo tarf chhayi hai ek virani
khamosh ho kar bhi ye hava kuch hai keh rahi
andhere mein rasta kisi ka jaise dhundti
taare apni roshni se raah hain dekhte
subha ko jane kaha woh gum ho jate…
Taare kitne pyare lagte hain sang hamare
chand to hai adhura akash mein
sang na hon agar ye sare
dekho to asman mein chamkile phool bikhre huye
lagta hai phoolo mein bhi deep jal rahe…
Humare zakhmo ki wajha bhi woh hai
humare zakhmo ki dava bhi woh hai
woh namak zakhmo pe lagaye bhi to kya hua
muhabbat karne ki wajah bhi to woh hai…
Chehra tera chan ton vi sohna
sohni hai teri chaal sohniye
tikhe nain katari varge
lai gaye ne dil mitraan da naal sohniye…
Raat me jugnu ki jagmgahat,
asma me taro ki zilmilahat
thandi vadio me hawao ki sarsrahat,
in sabse bhi khubsurat hai apke chehre ki muskrahat…