06 December 2013
Kisi ko yad karun main ....
Bhatakta hun dar-ba-dar, aur wakt hai ki katta hi nahi.
Raat bhar karwate badal-badal ke mai thakta bhi nahi.
Kisi ko yad karun main ya kisi ko yad aaun main.
Na koyi aisa hai, aur ho sakta bhi nahi.
Dunia bhar ke jajbaton ka bojh hai mere kandho par,
Magar mere jajbat to koyi samajh sakta hi nahi.
Manata hun mai har roj mere roothe huye apno ko,
Isme jo sapne toote mere unko to bana skta main nahi.
Mere maathe ki lakeeron me nahi jab naam hai uska,
to kisi baba kisi faqeer se likhwa to main sakta nahi.

Ek Sundar Mahal......
Ek Sundar Mahal Ki Ujadi Hue Deewar Hu Main.
Par Apna Dukh kisse main kahun,Jab khud apna parivar hu main.
Mana Pahle Si Shaan Nahi, Jyada Jiwan Bhi Shesh Nahin,
Par Ro Dun Tere Pairon Me Gir Kar Itna To Nahi Bimar Hu Main.
Ye Sundarta Jis Par Tu Itna Itrata Hai,
Mat Bhul Ki Poori Dunia Men Iska Eklauta Rakhwar Hu Main.

Subscribe to:
Posts (Atom)