16 June 2014

Pyar

 Rulana har kisi ko aata hai,
Hasana kisi kisi ko aata hai,
Rula ke jo mana le who sacha yaar hai,
Aur jo rula ke khud bhi aansu bahaye,
Woh sacha pyar hai..






 


Ek din jab hum duniya se chale jayenge,
Math sochna aapko bhul jayenge,
Bas ek baar aasman ki taraf dhekh lena,
Mere aansoo barish banke baras jayenge….

Kahi Khushi Kahi Gum

Mil jate hai kitno ko khushi,
Mit jate hai kitno ke gum,
Message isliye bhejte hai hum,
Taki na milne se bhi apni dosti na ho kam…

 
Kyun aapki khamoshi mujhe khamosh kar jati hai,
Kyun aapki udaashi mujhe udash kar jati hai,
Kya rishta hai mera aur aapka,
Jo har pal aapki yaad aa jati hai…

 
Gujarish hamari woh maan na sake,
Majburi hamari woh jaan na sake,
Kehte hai marne k baad bhi yaad rakhenge,
Jeete ji jo hamei pehchan na sake…

 
Kabhi hasa dete ho, kabhi rula dete ho,
Kabhi kabhi neend se jaga dete ho,
Magar jab bhi dil se yaad karte ho,
Kasam se zindagi ka ek pal badha dete ho…

 
Nazaron ko nazare ki kami nahi hoti,
Baharo ko phool ki kami nahi hoti,
Aap hamei kyun yaad karenge aap toh asman hai,
Aur asman ko sitaro ki kami nahi hoti…

 
Saari duniya ki muskan tere paas hai,
Yeh zamin aur asman tere paas hai,
Gam na karna ki tujhe yaad nahi karte,
Aye dost meri toh jaan tere paas hai…

 
 Tum banke dost aise aaye zindagi mei,
Ke hum yeh zamana hi bhul gaye,
Tumhe yaad aaye na aaye hamari kabhi,
Par hum toh tere bagair jeena hi bhul gaye…

 
Ek jasie dost sare nahi hote,
Kuch hamare ho kar hamare nahi hote,
Aap se dosti karne ke baad mehsus hua,
Kaun kehta hai “taare zamin par” nahi hote…

 
Takdir ne chaha, Takdir ne bataya,
Takdir ne aapko aur humko milaya,
Khushnasib the hum ya woh pal,
Jab aap jaisa anmol dost hamari zindagi mei aaye…

Chahat

Chahte hai hum aapko kithna yeh bataye kaise,
Dosti aapki aapse chupaye kaise,
Asmaan se bhi unchi hai apni dosti,
Is chote se SMS mei aapko samjaye kaise…

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~#######~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Dhadkan

Dhadkan hamari tumse jo kahe,
Sanso ko bhi uski khabar na lage,
Bahut khubsurat hai yeh dosti ka rishta hamara,
Dua hai iss se kisiki nazar na lage…