01 January 2012



Ye sach hai ke mera katil bhi whi tha,
pr poore shahar me pyar ke kabil bhi whi tha,,
wo kehta tha ke mai tera hu tera hi rahunga,,,
or jab lagi mehfil-e-gair to sabse aage bhi whi tha...


Kise ke dil pe kya gujri wo anjan kya jane?
Pyar kise kehte hai wo nadan kya jane?
Hawa saath uda le gayi ghar parindo ka,
Kaise bane the aashiyane ye toofan kya jane?


Tum ja to rahe ho pr itna bata do,
is dil se kya kahu ise kaise samjhau.
Is ke tutne ki awaz to na aayegi tumhe
pr uske tukdo ko lekar kaha jau..



Bhigi Palko K Sath Ankhe Num Thi
Zindgi Unse Shuru Unhi Pr Khtam Thi
Wo Ruth Kr Dur Chle Gaye Hmse
Shayd Unhe Laga ki Hme Unse Mohbat kam Thi.



JAAN JAAN kahkar tum dil le gaye
meri in aankhon mein chamak de gaye
par aaj kya huya tumhe
mujhse JAAN kahlwane ka haq wapas le gaye


Daag ansu se dhoye he
Jab b tanha huye hain roye he
Dil mein kyu na uge yaad teri
Dil mein tere hi khawab boye he



Usko mere wado ka aitbaar tha.
Dilme uske b bahut pyar tha,
chod diya usne beech safar me mera hath,
shayad kinare par use kisi or ka intzar tha.


Faasle itne to phle na hua krte the,
Main wo hi hu jise aap apna kha krte the,
Aap agr bhul b jao to koi baat nhi,
Zakhm to is Dil ko phle b mila krte the


Fursat mily to Poch kabhi un ka haal b
Jö lög jee rahy hai tary deedar k baghair
Tum sy bichar k haal hai kuch apna is tarha
Jaisy makan hö köi deewar k baghair.



khuda ek pal ke liye use mera bana de,
kitna chahta hu use koi ye bata de,
har pal dekhu sirf sapne usi k,
na jagu mujhe khuda aisi need sula de



Iss Behte Dard Ko Mat Roko
Yeh To Saza He Kisi K Intzar Ki
Log Inhe Ansu Kahe Ya Deewaangi
Pr Yeh To Nishani H Kisik pyar ki


No comments:

Post a Comment