yeh aansu bhi aajeeb pareshani hai. gam aur kushi dono ka sabab hai.
Kabhi bina sabab aate hai. aur kabhi beshumar gamo ke karan.
Sabko
batate phirte hai kitne himat wale hai hum aur haqiqat yeh hai ke aapne
aansuo par toh bas chalta nahi. aur aapne aap ko paathar dil batete
hai.
ke
kitne anmole hai yeh is baat ka zara bhi aandza ager hota. yu khud ko
ro ro kar barbaad na karte aapne hoto ki hassi ko humesha yu he aabad
rakhte.
ab
aalam yeh hai ke dard jo deta hai usko toh dard de nahi sakte. toh
aacha yeh hai ke dard aanko se beh jaye toh aacha hai. kyuki in aansuo
par bas humra haak hai unka nahi.
No comments:
Post a Comment