10 October 2014

Aashiyane ki baat



Aashiyane ki baat karate ho,
Dil jalane ki baat karate ho,


Saari duniya ke ranj-o-gam de kar,
Muskurane ki baat karate ho.


Hum ko apni khabar nahin yaaron,
Tum zamane ki baat karate ho,


Zikrr mera suna to chidh ke kaha,
Kis diwane ki baat karate ho.


Hadasaa tha guzar gaya hoga,
Kis ke jaane ki baat karate ho.


No comments:

Post a Comment