10 July 2014

Manzil unhi ko milti hai....


Manzil unhi ko milti hai,
Jinke sapno mein jaan hoti hai,
Pankh se kuchh nahi hota,
Hauslon se udan hoti hai.


Lehron ko shaant dekh kar yeh mat samjhna
Ki samandar mein ravani nahi hai,
Jab bi uthenge toofan ban kar uthenge,
Abhi uthne ki thani nahi hai.



Aankhon mein khushi, labon par hansi,
Gham ka koi naam na ho,
Aapko jahan ki saari khushiyan mile,
in khushiyon ki kabhi sham na ho!!!


Rishta banana itna aasan hai
Jaise MITTI pe MITTI se MITTI likhna
Aur rishta nibhana itna mushkil hai
Jaise PANI pe PANI se PANI likhna..



Yaadon mein hum rahein ye ehsas rakhna,
Nazron se door sahi dil ke paas rakhna,
Ye nahi kehte ke sath raho,
Door sahi par yaad rakhna.


Har ek se achchi baat karna fitrat hai hamari,
Har ek khush rahe ye hasrat hai hamari,
Koi hum ko yaad kare ya na kare,
Har ek ko yaad karna aadat hai hamari.





Sehmi si nigahon mein khwab hum jaga denge,
Sooni in raho pe phool hum khila denge,
Hamare sang muskura ke to dekhiye,
Hum aapke har gham bhula denge.



Phool se pehle khusboo ko to dekho,
Karne se pehle kaam ko to dekho,
Kisi ke roop mein diwana na bano,
Surat se pehle uske dil ko to dekho.





Gham mein hasne walon ko kabhi rulaya nahi jata,
Lehron se pani ko hataya nahi jata,
Hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.




Gum-e-Zindagi ke sitamvaar bahut hain…
Ranj-o-Mayusi ke deedar bahut hain…
Himmat-e-Insaan ke aage kya nahi mumkin…
Mana ke Sikast-o-Haar ke aasaar bahut hain..!!



Yaad aaye jo tum humko abhi…
Dil mein hui hulchul tabhi…
Lafzon ko tham liya zubaan ne haye…
Kehna hai kuchh tumse….par fir kabhi..!!

No comments:

Post a Comment