10 July 2014

Teri mehfil se...................


Teri mehfil se nikle kisi ko khabar tak na hui,
Tera mud mud ke dekhna hamein badnam kar gaya…..


Tum takalluf ko bhi akhlas samajte ho
Dost hota nahi har haath milane wala…


Lafz ko phool banana to karishma hai faraz…
Ho na ho koi to hai teri nigarish main shareek.


Apni nakami ka ek sabab ye bhi hai,
Cheez jo mangte hain sb se juda mangte hain…


Wo khud ko phool aur hum ko patthar keh kar muskuraya karte hain,
Un ko kya khabar patthar to patthar rehtt hain phool hi murjhaya kartt hain.


Khawahishon ka kafila bhi ajeeb hi hai,
Aksar wahin se guzarta hai jahan rasta na ho.


Chehre ki hasi se har gam chupao,
Bahut kuchh bolo par kuchh na batao.
Khud na rutho kabhi par sabko manao,
Ye raz hai zindagi ka, bas jeete chale jao.


Ek din sagar ne nadi se pucha,
Kab tak milti rahogi mujh khare jal se?
Nadi ne hans kar kaha,
Jab tak tujh me mithas na aa jaye tab tak.


Phool bankar muskurana zindagi,
Muskura ke gham bhulana zindagi,
Jeet kar koi khush ho to kya hua,
Haar kar khushiyan manana bhi zindagi.


Sabhi naghme saaz mein gaye nahi jaate,
Sabhi log mehfil mein bulaaye nahi jaate,
Kuchh paas reh kar bhi yaad nahi aate,
Kuchh door reh kar bhi bhulaye nahi jaate.


Yadein hoti hain satane ke liye,
Koi roothta hai phir maan jane ke liye,
Rishte banana koi mushkil to nahi,
Jaan bhi chali hai nibhane ke liye.

No comments:

Post a Comment