10 July 2014

Zindagi ki uljhanon ne

 Zindagi ki uljhanon ne
hamaari sharaaratein kam di,
Aur log samajhne lage ki
hum samajhdaar ho gaye.

Choo le aasmaan zameen ki talaash na kar,
Jee le zindagi khushi ki talaash na kar,
Takdeer badal jaayegi khud hi mere dost,
Muskurana seekh le wajah ki talaash na kar.


Thikana kabra hai to
Ibaadat kar musafir
Kehte hain khaali haath
Kisi ke ghar jaaya nahi karte

Ye arzoo nahi ki kisi ko bhulayein hum.
Na tammana hai kisi ko rulayein hum.
Par dua hai us rab se ek hi,
Jisko jitana yaad karte hain usko utana yaad aayein hum.


Khwahish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Dua aisi karo ki khuda ko pa sako,
Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain,
Jiyo aise ki har pal mein zindagi pa sako..!



Zindagi haseen hai zindagi se pyar karo,
Ho raat to subah ka intzar karo,
Wo pal bhi aayega jis pal ka intzar hai apko,
Bas rab pe bharosa aur waqt pe aitbar karo.






Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai,
Har pehlu zindagi ka imtihan hota hai,
Darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein,
Aur ladne walon ke kadmon mein jahan hota hai.






Uthati lehron ko saahil ki darkaar nahin hoti,
Hauslon ke aage koi deewar nahi hoti,
Jalte hue ik chiraag ne aandhiyon se kaha,
Himmat hai to bujha ke dikha,
jalne ke liye mujhe kono ki darkaar nahi hoti.



Soch ko badlo, sitare badal jayenge,
Nazar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiyan badalne ki zarurat nahi,
Dishaon ko badlo, kinare badal jayenge.

No comments:

Post a Comment