Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta,
Jisko jee bhar pyar kar sake wo insaan nahi milta,
Aasma ke sitaron ki tarah hamare armaan bhi bikharte rehte hain,
Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta.
Duniya ka har shauk pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko uchhala nahi jata,
Mehnat karne se mushkilein ho jati hai aasan,
Kyon ki har kaam taqdeeron par tala nahi jata.
Bhagwan ne insan ko kya se kya bana diya,
Kisi ko kavi to kisi ko katil bana diya,
Do phoolon ka wajan na utha sakti thi Mumtaz,
Sahjahan ne uske liye tajmahal bana diya.
Kuchh sitaron ki chamak nahi jaati,
Kuchh yadon ki khanak nahi jaati,
Kuchh logon se hota hai aisa rishta,
Ke door reh ke bhi un ki mehak nahi jaati.
Khairaat mein mili hui khushi mujhe achchi nahi lagti…..
Main apne dukhon mein bhi rahta hoon nawabon ki taraha.
Fitrat aur haalat mein tasadum hai warna …
Insan kabhi dil ka bura nahi hota…………….!!!!!!!!!!!!!
Kis kadar anjaan hai yeh silsila-e-ishq bhi,
Muhabbat to kayam rehti hai magar “Insan” toot jate hain!
Hamne mehboob jo badla to taajjub kaisa,
Log kafir se musalman bhi to ho jate hain.
Main uska hoon, ye raaz to woh jaan gaya hai!!
Woh kiska hai ye sawaal mujhe sone nahi deta.
Us shakhs se faqat itna sa talluq hai,
Woh pareshan ho to hamein neend nahi aati…
No comments:
Post a Comment